Thursday, December 4, 2008

Josh malihabadi ki ek nazm

Naddi ka moR, chashmaa-e-sheereen ka zer-o-bam
chaadar shab-e-najoom ki, shabnam ka raKht-e-nam
moti ki aab, gul ki mehak, mah-e-nau ka Kham

in sab ke imtizaaj se paida hooi hai tu
kitne hasin ufaq se huvaida hooi hai tu

lehja malih hai, ki namak Khwaar hoon tera
sehat zabaan meN hai, ki bimaar hoon tera
azaad-e-she'r hooN, ki griftaar hoon tera

tere karm se, she'r-o-suKhan ka imaam hoon
shaahoN pe KHanda-zan hooN, ki tera ghulam hoon

Thursday, October 30, 2008

Poetry oF Faiz

voh baat sare fasane main jiska zikr na tha
voh baat unko nagavaar guzri hai

________________________________

Aye kuch abr kuch sharab aye
Uske baad chahe jo Azaab aye

Kar rahaa thaa Gam-e-jahaan kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

Is tarah apni khamoshi gunji
Goya har simt se jawab aye

Faiz' thii raah sar basar manzil
ham jahaan pahunche kaamayaab aaye

________________________________

bol ki lab aazaad hain tere
bol ki zabaan ab tak terii hai