Tuesday, February 17, 2009

Hasrat Mohani

Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam

hairat guruur-e-husn se shokhi se izteraab
dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam

Allah re husn-e-yaar ki khuubi ke khud_ba_khud
rangeeniyon mein duub gaya pairahan tamaam

dekho tu husn-e-yaar ki jadoo nigahiyaan
behosh ik nazar mein huee anjuman tamaam

By: Hasrat Mohani

Monday, February 16, 2009

aashiqi

Ho 'Ashiqi' na waqif duniya teri hasti se
tanqeed ki zad main kyon tera kalam aya

yahan se nikalne ka gham 'Ashiqi' kya
yeh duniya hai adam ki jannat nahin hai

-by my grandfather