Friday, February 24, 2012

asghar gondvi

Asraar-E-Ishq Hai Dil-E-Muztar Liye Huwe
Qatra Hai Beqaraar Samandar Liye Huwe

Kya Mastiyaan Chaman Main Hain Josh-E-Bahaar Se
Har Shaakh-E-Gul Hai Haath Mein Saaghar Liye Huwe

Pehli Nazar Bhi Aap Ki Uf Kis Balaa Ki Thhi
Hum Aaj Tak Woh Chot Hain Dil Par Liye Huwe

Tasveer Hai Khinchi Hui Naaz-O-Niyaaz Ki
Main Sar Jhukaaye Aur Woh Khanjar Liye Huwe

Main Kya Kahun, Kahaan Hai Muhabbat, Kahaan Nahin
Rag Rag Mein Daudi Phirti Hai Nashtar Liye Huwe

Asghar Hareem-E-Ishq Mein Hasti Hi Jurm Hai
Rakhna Kabhi Na Paaon Yahaan Sar Liye Huwe

miscellaneous

Hai kahan tamanna ka doosra qadam Yarab
Hum Nai dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paya - ghalib

Aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

"ghalib" bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

surme ka khaal mushafe ariz pe kis liye
nuqta barha rahe ho khuda ki kitaab main - qamar jalalvi

ishq insaan ko diwana bana deta hai
apne mahol se begana bana deta hai
husn anware ilahi ka majazi paikar
jaam kausar ka nazron se pila deta hai - marghoob

hamne ajab majra dekha
chote logon ka dil bara dekha
dast-e qatil ki sangdili dekhi
marne walon ka hausla dekha - marghoob