Thursday, May 17, 2012

Zauq

Kisi Be-Kas Ko Aai Bedaad-Gar Maara To Kya Maara
Jo Aap Hi Mar Raha Ho Us Ko Gar Maara To Kya Maara

Na Maara Aap Ko, Jo Khaak Ho Akseer Ban Jaata
Agar Paare Ko Aai Askeer Gar Maara To Kya Maara

Hansi Ke Saath Yaan Rona Hai Misl-E-Qulqul-E-Meena
Kisi Ne Qehqaha Ai Be-Khabar Maara To Kya Maara

Gaya Shaitaan Maara Eik Sajde Ke Na Karne Mein
Agar Lakhon Baras Sajde Mein Sar Maara To Kya Maara

Bare Moozi Ko Maara, Nafs-E-Ammaara Ko Gar Maara
Nahang-O-Azhdaha-O-Sher-E-Nar Maara To Kya Maara

Dil-E-Sangeen-E-Khushru Par Bhi Zarb-E-Kohkan Pahunchi
Agar Tesha Sar-E-Kohsaar Par Maara To Kya Maara

Dil-E-Bad-Khwaah Mein Tha Maarna Ya Chashm-E-Bad-Been Mein
Falak Par Zauq, Teer-E-Aah Gar Maara To Kya Maara !

No comments: